gulon mein rang bhare

gulon mein rang bhare, bad-e-naubahar chale
chale bhi aao ki gulshan ka karobar chale
qaffas udas hai yaro, saba se kuch to kaho
kaheen to bahr-e-khuda aj zikr-e-yar chale
kabhi to subh tere kunj-e-lab se ho aagaz
kabhi to shab sar-e-kakul se mushkabar chale
bada hai dard ka rishta, ye dil garib sahi
tumhare naam pe aayenge gamgusar chale
jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijran
hamare ashk teri aaqabat sanwar chale
huzoor-e-yar hui daftar-e-junun ke talab
girah mein leke gareban ka tar tar chale
maqam ‘faiz’ koi rah mein jacha hi nahi
jo ku-e-yar se nikle to su-e-dar chale