gesu-e- tabadar ko aur bhi tabadar kar
hosh-o-khirad shikar kar qalb-o-nazar shikar kar
tu hai mahit-e-bekaran main zara si aabaju
ya mujhe ham-kinar kar ya mujhe be-kinar kar
main hun sadaf to tere hath mere gohar ke aabaru
main hun khazaf to tu mujhe gauhar-e-shahawar kar
nagma-e-naubahar agar mere nasib mein na ho
is dam e nim soz ko tairak-e-bahar kar
ishq bhi ho hijab mein husn bhi ho hijab mein
ya tu khud aashakar ho ya mujh ko aashakar kar
bag-e-bahisht se mujhe hukm-e-safar diya tha kyon
kar-e-jahan daraz hai ab mera intazar kar
roz-e-hisab jab pesh ho mera daftar-e-amal
aap bhi sharmasar ho, mujh ko bhi sharmsar kar