Har khushi hai logon ke daaman mein
Par ek hasi ke liye waqt nahi..
Din raat daudti duniya mein
Zindagi ke liye hi waqt nahi..
Maa ki lori ka ehsaas to hai
Par maa ko maa kehne ka waqt nahi..
Tu hi bata aye zindagi, Is zindagi ka kya hoga
Ki har pal marne waalon ko jeene ke liye bhi waqt nahi.