Contents
- Kabhi meharban tha toh kabhi anjan tha, Mera weham tha ya woh ya mera ghuman tha,
- De kar zakham woh marham rakhta tha, Ban raha tha ya wakyi itna nadaan tha,
- Mujh se bichhar gya tha woh ek raat, Woh shaks jo meri pehchan tha,
- Kaash k woh mil jata hum ko humdam, Kitna es dil ko iss baat ka armaan tha,
- Khuda ko chaahte toh kuch mil bhi jata, Hum ne chaha tha jise wo toh ek insaan tha.