Contents
- 1. Ik baat honton tak hai jo aayi nahi Bas aankhon se hai jhaankati Tumse kabhi, mujhse kabhi Kuch lafz hain woh maangati Jinko pehanke honton tak aajaaye woh Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh Lekin jo yeh ik baat hai Ehsaas hi ehsaas hai Khushboo si hai jaise hawa mein tairati Khushboo jo be-aawaaz hai Jiska pata tumko bhi hai Jiski khabar mujhko bhi hai Duniya se bhi chhupata nahi Yeh jaane kaisa raaz hai
- 2. Jab jab dard ka baadal chhaya Jab gum ka sayaa lehraya Jab aansoo palkon tak aaya Jab yeh tanha dil ghabraya Hamne dil ko yeh samjhaya Dil aakhir tu kyon rota hai Duniya mein yahi hota hai Yeh jo gehre sannate hain Waqt ne sabako hi baante hain Thoda gum hai sabka qissa Thodi dhoop hai sabka hissa Aankh teri bekaar hi num hai Har pal ek naya mausam hai Kyon tu aise pal khota hai Dil aakhir tu kyon rota hai
- 3. Pighale neelam sa behta hua yeh samaan Neeli neeli si khamoshiyaan Na kahin hai zameen Na kahin aasmaan Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein Aisi gehraiyaan Aisi tanhaiyaan Aur main sirf main Apne hone pe mujhko yaqeen aagaya
- 4. Dilon mein tum apni Betaabiyaan leke chal rahe ho To jinda ho tum Nazar mein khwabon ki Bijliyaan leke chal rahe ho To jinda ho tum Hawa ke jhokon ke jaise Aazaad rehno sikho Tum ek dariya ke jaise Lehron mein behna sikho Har ek lamhe se tum milo Khole apni bhaayein Har ek pal ek naya samaan Dekhen ye nigaahein Jo apni aankhon mein Hairaniyaan leke chal rahe ho Toh jinda ho tum Dilon mein tum apni Betaabiyaan leke chal rahe ho To jinda ho tum