Zingadi mei joh ho raha hai

Zingadi mei joh ho raha hai,
hone do,
Apne dil ke suno,
aur khud ko udh jane do,
Dekho agar chaha mei dum hoga,
to manzil mil he jayege bas thoda waqt ka phesla hoga
nahi to zindagi hai chalti ka naam gadi
wo waise bhi chalti he jayege,

Peche mudh ke na dekhna kabhi e dost,
bura waqt ka saya bhi pass na ane dena tu,
Aage badh aur kismat ki lakeer ko bhi jara banne ka mauka de tu,
Apne mehnat ke jhande gaadh de,
Rakh himmat saari kasar aaj nikal de,

Jena ka maza tabhi hai jab ho usme junoon
Phelaa apne par aur beh chal jaha hawa le chale,
par khus rehna tu sada
Kyunki zindagi ek suhana safhar hai
Jiska maja sirf ek raahi he jaan sakta hai

Tu bhi dekh chalke iski raho mei,
aaj tu bhi soch le
kitna maja hai ye pankh fherane mei,
Pyaar aur muskaan ka sath chodna nahi
apne ko girke sambhal lena tu
Rakh himmat agge chalte rehna tu,

Uuch neech to har safar ke raste hote hai
paar kre jo unhe wo he maha veer kehlate hai,
Thakna to sochna ke kya sapne the
tere ankho mei
luh mei bhar lena tufan aur nikal padna
phir ek jawan tu
Ye safar na nasseb hota hai sabko
kuch acha karke he paya hoga tune is jag ko
Jeevan ko vyrath na jane dena
apne spano ko tu sada udan dete he rehna…