Zindagi ka pehla pyaar kon bhulata hai

Zindagi ka pehla pyaar kon bhulata hai,
Ye pehli bar hota hau jab koi kisi ko khud se badhkar chahta hai.

Uski pasand, uski khwahish me khud ko bhul jata hai,
Akele mein uska naam likh likh kar mitata hai.

Baat karne se pehle sochta hun, kya kehna hain,
Baat hone ke baad fir kuch kehna reh jata hai.

Hota hai itna khoobsurat pehla pyar,
Toh jane kyun aksar adhoora reh jaata hai.