kisane wada kiya

kisane wada kiya hai aane ka
husn dekho garib khane ka

ruh ko aaina dikhate hain
dar-o-divar muskurate hain

aj ghar, ghar bana hai pahali bar
dil mein hai khush saliqagi bedar

jama saman hai aish-o-ishrat ka
khauf dil mein fareb-e-qismet ka

soz-e-qalb-e-kalim aankon mein
ashk-e-ummid-o-bim aankhon mein

chashm-bar-rah-e-shauq ke mare
chand ke intazar mein tare