Kadam ruk gaye jab pahuche hum bazaar mein

Kadam ruk gaye jab pahuche hum bazaar mein…

Bik rahe the rishte, khule aam vyapar mein.

Kaapte hoton se humne poocha, “kya Mol hai Rishton ka?”

Dukandar bola:

“Kaunsa loge?

Bete ka du, yaa baap ka?

Bahen ka ya bhai ka?

Kaunsa loge?

Insaniyat ka du, ya pyaar ka?

Maa ka ya vishwas ka?

Babuji, kya Du..bolo toh sahi… Chupchaap khade ho, muh kholo toh sahi…”

Maine dar ke pucha: ‘DOST’ ka rishta?

Dukaandar namm aankhon se bola:

“Sansaar Issi rishte par toh tika hai babuji… Maaf karna Yeh rishta bikau nahi hai, Iska koi mol nahi laga payega,

Par jis din Yeh bik gaya…

Uss din yeh sansaar ujjad jayega… 🙁