jab bhi nazm-e-maikada

jab bhi nazm-e-maikada badala gaya
ek na ek jam-e-hasin toda gaya
jab safina mauj se takra gaya
nakhuda ko bhi khuda yaad aa gaya

main ne cheda qissa-e-jaur-e-falak
jane q un ko pasina aa gaya

dekh kar un ke jafaon ka khulus
main wafa ke naam par sharma gaya
aap ab aayen hain aansu ponchane
jab mere daman pe dhabba aa gaya