Ek Shakhs Ki Chahat Ka Armaan Raha Aksar

Ek Shakhs Ki Chahat Ka Armaan Raha Aksar,
Jo Jaan Kar Bhi Sab Kuch Anjaan Raha Aksar,
Yeh Pyaar Mohabbat Ka Hai Kya Khel, Rab Jane,
Ke Jisne Wafa Ki, Usko Nuksaan Raha Aksar,
Aata Hai Wo Neendon Mai, Rehta Hai Wo Khawbon Mai,
Ek Yahi To Uska Mujh Par Ehsaan Raha Aksar.