Poems from Zindagi Naa Milegi Dobara

1.
Ik baat honton tak hai jo aayi nahi
Bas aankhon se hai jhaankati
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangati
Jinko pehanke honton tak aajaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ehsaas hi ehsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairati
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chhupata nahi
Yeh jaane kaisa raaz hai

2.
Jab jab dard ka baadal chhaya
Jab gum ka sayaa lehraya
Jab aansoo palkon tak aaya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Hamne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyon rota hai
Duniya mein yahi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabako hi baante hain
Thoda gum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi num hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyon tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyon rota hai

3.
Pighale neelam sa behta hua yeh samaan
Neeli neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen
Na kahin aasmaan
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan
Aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne hone pe mujhko yaqeen aagaya

4.
Dilon mein tum apni
Betaabiyaan leke chal rahe ho
To jinda ho tum
Nazar mein khwabon ki
Bijliyaan leke chal rahe ho
To jinda ho tum
Hawa ke jhokon ke jaise
Aazaad rehno sikho
Tum ek dariya ke jaise
Lehron mein behna sikho
Har ek lamhe se tum milo
Khole apni bhaayein
Har ek pal ek naya samaan
Dekhen ye nigaahein
Jo apni aankhon mein
Hairaniyaan leke chal rahe ho
Toh jinda ho tum
Dilon mein tum apni
Betaabiyaan leke chal rahe ho
To jinda ho tum