Yaad aata hai wo guzra hua waqt

Yaad aata hai wo guzra hua waqt,
Sochta hu bewafa mai hun ya wo,
Tod di thi humne duniya ki rasmein,
Lekin ek raah par chal na paye,
Wo pyar hi tha na jo humne kiya,
Lekin jhoota to koi hai mai ya wo,
Hum bichad to gaye hai lekin,
Hai udas kaun mai ya wo,
Humne jeene marne ki saath khayi thi kasmein,
Lekin jee raha hai kaun mai ya wo.