Unki mohabbat ka

Unki mohabbat ka nishaan abhi baaki hai,
Naam lab par hai par jaan abhi baaki hai,
Kya hua jo dekh kar muhh pher lete hai,
Tassali hai chehre ki pehchan abhi baaki hai.
Tamanna koi bhi mere dil ki poori na hui,
Chahat ka koi afsana na bana,
Aaj phir chali gayi zindagi nazron ke saamne se,
Aur usse baat karne ka koi bahana na bana.
Ho sakta hai humne anjaane mey apko kabhi rula diya,
Aapne duniya k kehne pe hume bhula dia,
Hum to vaise bhi akele the,
Kya hua agar aapne ehsaas dila diya??