tumhari hoton ki

tumhari hoton ki hansi banne ka khwab hai,

tumharee aagos me simat jane ka khwab hai…

chahe tum lakh bacha lo daman,

ishq k hantho aasma bankar us par cha jane ka khwab hai…

Aajmais yun to acchi nhi ishq ki,

tum chahe to tumharii takdir banane ka khwab hai…

wo maut b laut aaye tumharee darwaje par aakar,

tumko aisi zindagi dene ka khwab hai…

aansu b ruk jae tumhari palko par aakar,

tumko aisi khushi dene ka khwab hai…

ji b lenge agar jina pade tumhare bagair,

lekin tum par to mar mitne ka khwab hai…

Kyu k tum to vo ho jo mere dil k taar ho,

apne dil ke taar ko hamesha khush rakhne ka khwaab hai…..