Neend apni bhula kar sulaaya humko

Seene se laga kar kaha karti thi maa mujhko
Tu laal hai mera na sata mujhko

Pachtayega ek din main chali jaungi
Na chaahte huye bhi akela duniya mein chodh jaungi

Zamaana dikhayega garmi ki shiddat tujhko
Yaad kar ke royega tu phir mujhko

Muddaton se meri maa ne seene se nahi lagaaya
Ab so gayi khaak mein jab kuch kehne ka waqt aaya.


Neend apni bhula kar sulaaya humko,
Aansu apne gira kar hasaaya humko,
Dard kabhi na dena uss khuda ki tasveer ko,
Zamana kehta hai maa baap jinko.


Sakht raaston mein bhi aasaan safar lagta hai
Ye mujhe maa ki duaon ka asar lagta hai
Ek muddat se meri maa nahi soi
Jab maine ek baar kaha tha “maa mujhe dar lagta hai..”