Manzeele bhi uski thi aur raasta bhi us hi ka tha

Manzeele bhi uski thi aur raasta bhi us hi ka tha,
Ek main akela tha kafeela bhi us hi ka tha,
Saath saath chalne ki soch bhi us hi ki thi,
Phir raasta badalne ka faisla bhi usi ka tha,
Aaj kyun akela hoon dil sawaal karta hai,
Log to uske the kya khuda bhi us hi ka tha?

To Khuda ne kaha:
Use yaar banaane ki galti teri thi,
Us par yakeen karne ka khayaal bhi tera tha,
Use kyun gham hoga tere jaane ka,
Sacha pyaar uska nahi, sacha pyaar to tera tha!