Mana teri nazar mai tera pyar hum nahi

Mana teri nazar me tera pyar hum nahi,
Kaise kahe ki tere talabgar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala mita diya,
Lo ab tumhari raah mai deewar hum nahi,
Jisko sawara humne tamannao ke khoon se,
Gulshan mai us bahaar ke hakdar hum nahi.