Kyun rakhu main ab apni kalam mein syahi

Kyun rakhu main ab apni kalam mein syahi
Jjab koi armaan dil mein machalta hi nahi

Na jaane kyun sabhi shak karte hai mujh par
Jab koi sookha phool meri kitaab mein milta hi nahi

kashish to bahut thi mere pyaar mein
Magar kya karu koi pathar dil pighalta hi nahi

Agar khuda mile to usse apna pyar maangooga
Par suna hai wo kisi se milta hi nahi.