Khamoshi Shayari

har koi pareshan hai meri khamoshi se
aur main pareshan hoon hu
apne andar ke shor se

Kya gazab hai uski khamoshi.. Mujhse baate hazaar karti hai.

Dono taraf ki khamoshi ne baat ko mukammal kar diya..

Khamosh seher ki chikhati raate, Sab chup hai par… kehne ko
hai hazaar baate.

Har baat khamoshi se maan lena yeh bhi andaz hota hai narazgi ka

Jab dard hadd se guzar jata hai…… Tab insaan rota nahi bas
khamosh ho jata hai….

Khamoshi ek nasha hai aur aajkal mai nashe me hu