Kabhi meharban tha toh kabhi anjan tha

Kabhi meharban tha toh kabhi anjan tha,
Mera weham tha ya woh ya mera ghuman tha,

De kar zakham woh marham rakhta tha,
Ban raha tha ya wakyi itna nadaan tha,

Mujh se bichhar gya tha woh ek raat,
Woh shaks jo meri pehchan tha,

Kaash k woh mil jata hum ko humdam,
Kitna es dil ko iss baat ka armaan tha,

Khuda ko chaahte toh kuch mil bhi jata,
Hum ne chaha tha jise wo toh ek insaan tha.