Jiske saath bitaya maine har lamha

Jiske saath bitaya maine har lamha rubaru hokar

Wo jaa rahe hain mujhe is veerane me tanha chhorkar

Dil se saha nahin jaa raha tujhse dur hone ka dard

humne honthon se kabhi jo jaahir nahin hone diya kbhi

Wo meri aankhon ne bayan kar diya hai aaj ro rokar.

main pareshaan bahut tha main hairaan bahut tha

Jis din se usne kaha tha apne jaane ko mujhse rubaru hokar

Us din se aankhon ne koi sapna nahin dekha yaaron

Kbhi katata hai waqt tanhai me to kbhi raaton ko jag jagkar

Ab koi khushi koi bashar dil ko raas nahin aata hai dost

Dil me ik udasi si chha gayi hai uske jaane se

Jab bhi nam hui hain aankhein meri ‘anshul’

Maine bahlaya hai inhe phir tanhai me ro rokar.

Ab kaatenge waqt uski hansi yaadon ke sahare , tasveeron ke sahare

Kabhi usko DREAM GIRL sochkar to kbhi khudko PAGAL samajhkar.