Humari bhi thi

Humari bhi thi ek kahani
Humari bhi thi ek hasti purani
Kandhe pe tha dosto ka haath
Saara jamana
jeet lete
aisa tha yaaro
ka sath
Saath baith kar karte the masti
Jab samosa tha
3 rupaiye aur
chaay thi sasti
Dosto k liye kiya bachpan kurbaan 
Aaj saale ban baithe iss dhadkan ki jaan
Chhoti se chhoti baato ko dil se lagaya
Phir bhi kamino ne jate jate khub hasaya
Padhai ka to sirf bahana tha
school me to dosto se milne jana tha
Marne se pehle ek waada nibhana
Meri laash par aakar kehna
“YAAR ! KAL MOVIE DEKHNE TIME PE AANA”