Hum Saath The

Hum Saath The Ek Raasta Nazar Aata Tha
Akasar Koi Saathi Paas Aake Haath Badhata Tha
Bewajah Hi Hansi Ka Fuwaara Sa Nikal Jaata Tha
Waqt Kya Hota Kisi Ko Samajh Na Aata Tha

Hum Saath The Dil Aksar Machal Jaata Tha
Bekaarari Karti Thi Ghaayal Awara Ban Jata Tha
Raat Bhar Uske Khayalon Mei Bitata Tha
Saamne Aati Thi Jab Kabhi To Nazrein Churata Tha

Yuhin Har Pal Gujar Aata Jata Tha
Naye Naye Armano Ko Jaga Jata Tha