Bura na maan agar tujhko pyaar karta hoon

Bura na maan agar tujhko pyaar karta hoon,
Gunah kaunsa aisa main yaar karta hoon.

Meri khaton mein meri samajh ka nahi koi dhakal,
Main jo bhi karta hoon be-ikhtiyaar karta hoon.

Tu kitne pyaar ke kaabil hai kya khabar mujhko,
Ke main to jitna bhi mumkin hai pyaar karta hoon.

Wo gair ho ya dost koi bhi ho magar us se,
Main tera tazkra dewaana-waar karta hoon.

Khuda ki duniya se itni mohabbat nahi hai shayad,
Khuda ke ek bande ko main jitna pyaar karta hoon.