Bimar engineering student theek nahi ho raha tha

Bimar engineering student theek nahi ho raha tha, ek din uski maa usko boli…

Maa: Jaakar janwar KE doctor ko dikha, to hi thik hoga..

Beta: Arey jaanwaro KE doctor ko kyu?

.

.

Maa: Roz Murge ki tarah uth jata hai,

Ghode ki tarah bhag KE tution par jata hai,

Sher ki tarah class mein doston KE sath masti karta hai,

Suwar ki tarah yahaan vahaan assignment par mooh Marta hain,

Gadhe ki tarah submission karta hai,

Ghar akar Kutte ki tarah sab par bhokta hai,

Raat ko ullu ki tarah jag KE Facebook par chat karta hai,

Bhains ki tarah so jata hai,

.

.

.

.

Aur bhigi billi ki tarah 40 marks lata hai isliye. 😀 😛