Best Dua Shayari 2 Lines

Duniya se mile gum to bahut hain,
In mile gamo se ankhain num to bahut hai,
Kab ke marr jaate in gamo ko sehkar.
Par dosto ki duaaon me dum bhi bhut hai.

Khuda ki fursat me ek pal aya hoga,
Jab usne ap jaise pyare insan ko banaya hoga,
Na jane kounsi dua kubool huyi hamari,
Jo usne aapko humse milaya hoga.

Agar itni hi nafrat hai humse toh,
Dil se kuch aisi Dua kro,
Ki aaj hi tumhari Dua bhi puri ho jaye,
Aur hamari zindagi bhi…!!

Aap khubsurat hain itne,
Ki har shakhs ki zuban par aap hi ka tarana hai,
Hum nacheez  kahan kisi ke kaabil,
Aur aapka to khuda bhi diwana hai.

Milo ke faslo me bhi duri na ho,
Bat na ho, aisi majburi na ho,
Meri tamanna hai hum Dost rahein uamr bhar,
Ap bhi dua karna ki ye dua meri adhuri na ho!


 

Rab Na Kare Apko Khushiyon Ki Kami Ho,
Apke Kadmo Ke Neeche sada Phulon Ki Zami Ho,
Ansu Na Ho Apki Ankhon Mai Kabhi,
Agar Ho To Wo Bhi Khushi Ki Nami Ho.

Humare dil ki gehrai ko koi samajh paaya hi nahi,
Kitne tanha hai hum koi jaan paaya hi nahi,
Kisi ko humari kami mehsoos ho,
Shayad Khuda ne humein aisa banaaya hi nahi.

Kisi se pyar itna karna ki hadh na ho,
Par etbaar bhi itna rakhna ki shak na ho,
Wafa itni ho ki kabhi bewafai na ho,
Aur dua itni karna ki kabki judayi na ho.