“3 dosto ki kahani”

“3 dosto ki kahani”
1 GYAN
2 DHAN
3 VISHWAS
Tino achhe dost the,aur unme bahut pyar tha,
Ek aisa waqt aya ki tino ko juda hona pada,tino ne ek dusre se pucha ki kaun kaha jayega?
GYAN-me mandir,masjid,gurudware,charch aur vidyalay jaunga.
DHAN-me mahal aur amiro k pas jaunga.
Lekin VISHWAS chup tha.dono ne wajah puchi.To VISHWAS ne thandi sans bhar k kaha-
me 1 bar chala gaya to phir kabhi vapas nahi aaunga..!!!