Top 16 Hindi Funny Love Lines, Status For Lovers
Hamne socha tha har mod par tumhara saath denge Hamne socha tha har mod par tumhara saath denge Par kya karein kambakhat sadak hi seedhi nikli
For Daily Updates Follow Us On Facebook
Kabhi hausla bhi aazmana chahiye Bure waqt mein bhi muskurana chahiye Chahe kitni bhi thand pade Hafte mein ek baar to nahana hi chahiye
University ki galion mein ajeeb khel hota hai Class ke bahane dilon ka male hota hai Padhne ki jagah luvmail hota hai Isliye to Pappu har saal fail hota hai
Dil ke dard ko zuban par laate nahi Hum apni aankhon se ansu bahate nahi Zakhm chahe kitne hi gahre kyon na ho Hum Detol ke siva kuch laagate nahi
Maine kaha Dilrubaa Usne kaha paise dikha Maine kaha paise nahin Usne kaha kaise nahin Maine kaha mahngayee hai Usne kaha jaa tu mera bhai hai
Unki gali ke chakkar kaat kaat kar Kutte bhi hamare yaar ho gaye Woh to hamare ho na sake Lekin hum kutton ke sardar ho gaye
Teri galtiyon ko maaf kaun karta Main na rehta to insaaf kaun karta Khuda salamat rakhe mere dost ko Warna meri shaadi main plate saaf kaun karta
See Also: Funny Lines
Aaye woh meri kabar par Diya buja ke chale gaye Diye mein jo tel tha Sar pe laga ke chale gaye
Jab dekha unhone tirchhi nazar se To hum madhosh ho gaye Par jab pata chala ki nazare hi tirchhi hai To hum behosh ho gaye
Hoon mein doctor jahan Meri wife hai nurse wahan Ye kaisa zulm sehana pad raha hai Mujhe wife ko sister kehna pad raha hai
Pyar to humein bhi karna tha Par kuch khaas nahi hua Tajmahal to humein bhi banana tha Par afsoss ke loan pass nahi hua
Lamha lamha waqt guzar jayega Saat pheron ke saath koi tumse bandh jayega Abhi bhi waqt hai kisi se affair kar lo Kya pata kal kaun sa model tumhe saunpaa jayega
Wo ped kya jis mein dali na ho Wo baag kya jis mein mali na ho Wo ghar kya jis mein ghar wali na ho Aur wo mard kya jis ki bahar wali na ho
Tujhe dekha to noor yaad aa gayi Tujhe chaha to anarkali yaad aa gayi Tere shauk purey karte karte Mujhe meri naani yaad aa gayi
Yeh jo ladkiyon ke baal hote hain Ladkon ko fasaane ke jaal hote hain Khoon choos leti hain ladkon ka sara Tabhi toh inke honth laal hote hain
See Also: Short Smile Status
Apni shaadi me zayaada deri mat karna Dil tumhari saheli par aa jaye to mat kehna Main to aashiq hoon khoobsurti ka jaanu Agar baarat tumhare pados me aaye to mat kehna…..