Masoom Sa Chehra Bholi Si Aankhein- Hindi Poem On Maa
Masoom sa chehera
bholi si aankhein,
pyar ki murat
sabse khoobsurat
Meri Maa…..
jabse main hosh sambhala
tere hi anchal ki shahara
jab bhi girti thi
ladkhadati thi
har paal doud ke tu
tham leti thi….
Sabse pehele
main tumjhe pookara…(Maaaa)
tu itni khus hui thi jaise milgayi
tujhe jag shara……
Meri pehechan hai tu
teri parchai hun main
tere naam ke shahare
aaj duniyan main
ek naam hun main ….
Dil main pyar
aakhon main banwat gussa
kam batake jyada jajbaat
chhupane wale
mere ashaman banke mere
saath har paal dene wale
mere Papa………
Jab bhi duniyan ne apna
pehechan manga
tab tab shaan se
aapke naam leti hun
main aap ki hi Beti hun…………
Lekin…ek spl request …………
Maa aap kehete ho
main aap ki parchhai hun
fir tumse itna dur kyun hun…?
Papa aap kehete ho aap mere gurur ho
Fir bhi mere nazar se kyun dur ho ….
Agle janam main
mujhe bitiya na banana
Maa zamin papa Ashamaan banke
Mere saath hi rehena ….