Jo kar dete hain alag jindagi ko khushiyon se
Ae khuda aise haalaat badalte kyon nahin
Rawayton ki aadat rahi hai sirf juda karna
Ye rashm-o-riwaaj zamaane ke badalte kyon nahin,
Mohabbat kuch nahin bas paak dilon ka mel hai
Duniya ke dil me ye khayalaat palte kyon nahin
Kitni aankhon ki roshni bujhi makam talash karte
Raahe-e-ulfat me ujaalon ke diye jalte kyon nahin,
Rawayton ki aadat rahi hai sirf juda karna
Ye rashm-o-riwaaj zamaane ke badalte kyon nahin,
Deewane keemat chukate hain jaan dekar mohabbat me
Unki rooh ko bachane farishtey utarte kyon nahin
Suna hai khuda deta hai ek naajuk sa dil sabko
Gar naajuk hain dil sabke to phir pighalte kyon nahin,
Rawayton ki aadat rahi hai sirf juda karna
Ye rashm-o-riwaaj zamaane ke badalte kyon nahin
Jo kar dete hain alag anshul ko khushiyon se
Ae khuda aise haalaat badalte kyon nahin
Ye rashmo-riwaaj zamaane ke badalte kyon nahin.
Dedicated to all lovers!!